NaukriYojana logo
NaukriYojana.comSarkari Job · Result · Admit Card · Mock Test – हिंदी में

Home › Terms & Conditions – नियम व शर्तें

Terms & Conditions

Last updated: 27 November 2026

  1. NaukriYojana.com ki seva (mock tests, quiz, report, job updates) sirf jaankari aur pariksha abhyas ke liye hai. Hum kisi sarkari vibhag ya BPSC/SSC/RRB se jude nahi hain; har update ke saath official link diya jaata hai aur official notification hi antim maana jayega.
  2. Account: mock test dene ke liye login zaroori hai. Register ke liye naam, mobile aur email zaroori hai. Ek vyakti ek account rakhe; password kisi se share na karein.
  3. Free test: har mobile number aur har email par poori site par sirf EK mock test FREE hai. Naya account banakar dobara free test lena mana hai – aisa paaye jaane par account band kiya ja sakta hai.
  4. Membership: ₹99 mein 30 din tak sabhi uplabdh mock tests unlimited. Membership auto-renew nahi hoti.
  5. Payment & Refund: payment Razorpay ke through INR mein hota hai. Membership turant chalu hoti hai, isliye payment ke baad refund nahi hota – vistar se Refund Policy dekhein. Paisa kata par membership chalu nahi hui to support se sampark karein.
  6. Sabhi prashn, vyakhya aur content NaukriYojana ka copyright hai. Copy, resale ya dusri website par lagana mana hai.
  7. Niyam todne par account band kiya ja sakta hai.
  8. Vivad Bharat (India) ke kanoon ke adheen honge.

Sampark: 📧 Email: support@naukriyojana.com
📞 Mobile / WhatsApp: +91 95250 30085
🌐 Website: naukriyojana.com